Wednesday, July 8, 2009

Rang Biranga Paani Peeke, Seedhi Sadhi Kudi Bigad Gayi..!!

Chori Bazari do naino ki
Phele thi aadat jo hat gai
Pyaar ki jo teri meri
Umar aai thi woh kat gai

Duniya ki to phikkar kahan thi
Teri bhi abb chinta ghat gai

Chanda rre
Tu bhi tu hai
Mein bhi mein hoon
Duniya saari dekh ulat gayi
Tu na jaane mein na jaanu
Kaise saaari baat palat gai


Ghatni hi thi yeh bhi ghatna
Ghatte ghatte lo yeh ghat gayi

Tarif teri karna
Tujhe Khone se darna
Haan bhul gaya abb tujhpe din mein char dafa marna

Pyaar khumari utari saari
Baaton ki badli bhi chhat gayi

Hum se main pe aaye aise
Mujhko to mein hi mein kat gayi

EK hue the do se dono
DOno ki abb raahein kat gayi

Abb koi fikar nahi
Gum ka bhi zikar nahi
Haaan hota hoon mein jis raste pe
Aaye khushi wohin

Aajad hoon mein tujhse
Aajad hai tu mujhse
Haan jo jee chahe
Jaise chahe karle raj yahin

Laj sharm ki choti moti jo thi dori
Woh bhi kat gai
Chauk chawbare gali molhalle
Khol ke main saare ghonghat gai

Tu na badli mein na badla
Dilli sari dekh badal gai
Ek minute mein duniya dari ki
saaari samaj nikal gai

Haan Rang biranga pani pe ke
Seedhi saadhi kudi bigad gayi

Dekh ke mujhko hasta gaata
Sadh gai yeh duniya sadh gai !!

Courtesy : Love Aaj Kal! ;)

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.